AsalamoAlikum!!!
Aakhir 2013 bhi guzar hi gea. January ki pehli subha bhi bohat ajab sa ehsas dalati ha, jese baraf peghal kar pani me beh jane ki muntazir ho... Oo ho! Ap soch rahen hon ge ke itni sardi me bhi Khawaja Qasim ko baraf yad aa gi. :)
Lekan Yeh sach ha, 2014 ke ate hi hamari zindagi ka aik saal aur kam ho gea ha. Ap logon ka shayad na howa ho lekan mera zaroor howa ha. Q K meri birthday bhi azeem logon ki tarhan 25th December ko thi.
Main pore saal ka tajzia (analysis) kar ke ap logon ka waqt zaya nai karna chahta. Sirf december ke month ko dekh len. is main hum ne kya khoya aur kya paya.
Sab se pehle Chief Justice of Pakistan janab Iftikhar Muhammad Chuhdary sab ko le len. Aakhir woh bhi 11th december ko rukhsat ho ge. Mujhe aj bhi woh din yaad ha jab mere kuch crazy :) dost Chief Justice ki bahali ke lye roads pe nikle the.
Ab to mian sab ke apne chief of army aur chief justice han. Main mian sab ko mashwara dena chahta hon ke ap chief justice bhi koi shareef lagaen. Ap ne Raheel shareef ko chief of army bna dya ha. agar yahan koi shareef nai hoga to adliah pe zulam hoga.:)
25 safar 30 december 2013 ko Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Baralvi (R.A) ka yom-e-wafat tha. Allah Pak apne naik bandon ke waseele se humari bakhshish farmae. Ameen
Pindi waqae ke baad 'molana shamsudin' ka katal, phir 'Alama nasir abaas' ka katal bhi afsosnak khabar thi.
KSE100 tareekh ki buland tareen satah per. WOW. I recommend agar koi very long-term ke lye shares buy karna chahta ha to woh Engro Foods ke buy kare. December me Servis ne 3 centuries ki han. pehle 400, phir 500 aur phir 600.
triple centuries ki baat chali ha to phir hum Muhammad Hafeez ko kese bhool sakte han. Muhammad Hafeez ne jo SA ke same bowler se har match me out ho kar kamal kar dya. Lekan Srilanka ke khilaf 3 centuries kar ke bhi sab ko heran zaroor kya. Welldone Muhammad Hafeez! ab log sargodha walon pe tane nai maren ge.:)
Is series ke baad lagta ha k ane wale world cup me humari team behtar perform kar sakti ha.
Wasalam:
Khawaja Qasim

what a perfect analysis! great job Khwaja Qasim
ReplyDeleteIs chohte se article me har cheez discuss ki gi ha. very informative for me. great analysis
ReplyDeleteGreat Qasim :-)
ReplyDeleteooey waqi tu nay nay ye analysis kia hai???
ReplyDeletetu to bara chupa rustam nikla :)
chah gaya hai tu to yar... :) :)
i really appreciate it .
nice work.... keep it up..... :)
ReplyDelete